Multilingual Previews, Reviews, Interviews & Point of Views...of/for/with/about various products, movies, books, people, things & events...

Sunday, November 10, 2013

Sehar (Movie Review)



Kal Sehar movie dekhi jo 1990s mey Uttar Pradesh k kukhyat Gangster Shri Prakash Shukla jiske naam kai murders, kidnappings thi....(izzat nahi de raha hun uska naam hi Shri Prakash tha) aur tab form huyi Special Task Force (STF) par based thi. Mai rarely ek movie ek se zyada baar dekh pata hun par Sehar jab bhi TV par aayi hai (3-4 times) maine dekhi. Achchhi movie to hai hi par shayad isliye bhi kyoki isme Lucknow shehar ki locations aur unke reference kai baar aate hai just like "Main, Meri Patni aur Woh" & "Tanu Weds Manu". 

Tab cell phone naye the aur Police k liye apradhiyon ka surveillance ek nayi baat. Technology mey Police gangsters k naye tareeko se pichhad rahi thi tab STF ka gathan hua jinka saath diya ek expert professor ne. Script-Dialogues par itni mehnat bahut kum dekhne ko milti hai technical jargon ko tareeke se samjhaya gaya hai. Arshad Warsi (SSP Ajay Kumar) aur Mahima Chaudhary ka love angle hai, traumatized past angle hai Arshad k pita se juda....Politics, thrill, shootouts ka achchha mix hai. Itni bhaag daud k baad climax to bas kayamat scene hai....usi scene mey,

STF team k Saiyyad ko goli lag jaati hai aur SP Ajay apne saathi k saath gangster k peeche jaate hai Prof. Tiwari (Pankaj Kapur) jinhe khoon kharabe aur bandooko se bada darr lagta hai ko Saiyyad k paas chhod kar. Saiyyad mar jata hai to Prof. Tiwari Ajay Kumar k peeche jaate hai.

Arshad Warsi - "Tiwari ji, aap yahan kya kar rahe hai aapko to Saiyyad k paas hona chahiye."

Uske baad ka moment, expressions hai wo batayen nahi jaa sakte.

Acting mey Pankaj Kapur, Arshad Warsi, Suhasini Mulay, Mahima Chaudhary, Sushant Singh ne zabardast kaam kiya hai. Director Kabeer Kaushik ka aese unche level ka debut Bollywood mey rarity hai.

421 Brand Beedi Rating - 8/10

Beautiful Song "Sapno ka Shehar ho" from the movie (promotional & background)