Multilingual Previews, Reviews, Interviews & Point of Views...of/for/with/about various products, movies, books, people, things & events...

Friday, March 8, 2013

Not a Potential Rapist!!!

Apne kuch jigri doston (naam nahi likhunga) se khul kar baaten kar pata hun. Halaki, ab Lucknow chhut gaya to ye cheez miss karunga. Unhi khaas dosto mey se ek k saath baitha tha mai last month.

Dost - "Ye heading padh, likha hai...every man is a potential rapist..."

Mohit - "Nahi!!! Maafi sarkaar maafi de do mujhe.....yaar yahan to baksh de TV, Internet, Akhbar, Society...sab jagah blame karoge to kisi din bina crime kiye in blames ka hawala dekar jail mey guilty feel karta hua life kaatunga..."

Dost - "Kaisi Life Inspector Vinay??? Fansi milni chahiye tujhe..."

Mohit - "To tu bhi marega soch lo....ya phir OMG aaj pata chala mera dost mard nahi hai...ha ha ha...medical report k baad jail ka doctor kahega...jaa Shikhandi ji le apni zindagi...."

Dost - "Achchha ek baat bata teri favorite actress, athletes kaun hai....matlab skip a beat...wonder woman type..."

Mohit - "Aajkal to Esha Gupta achchhi lag rahi hai, sports mey Ana Ivanovic...aur bhi hai kuch....kyu?"

Dost - "Achchha imagine kar....tu kahin ka raja hai, tu matlab us desh ka supreme hai tujhe koi darr nahi hai, kuch bhi kar....koi nahi pakadega tujhe...tab tujhe sunsaan sadak par koi Ana Ivanovic ya Esha Gupta jaisi ladki mil jaaye..."

Mohit - "C grade horny movie ka hero bana de mujhe kaminey...."

Dost - "Sun to....khuli chhut hai...koi darr nahi, bandish nahi...kya tu us ladki ka rape karega?"

Mohit - "Nahi...koi chance hi nahi hai."

Dost - "Bhai ko khush karne ko mat bol sach bata....mujhse sach bol sakta hai Bhai...chal tu nashe mey hai...dimaag mannd ho gaya hai kuch der k liye...tab karega uska rape?"

Mai darr gaya ye sochkar, kya karunga mai tab? Kya mai rape kar dunga us ladki ka? Maine pehli baar khud ko kisi aur vyakti k angle se rape karte dekha...us ek second mey hi mai bas kya bataun...hil gaya...

Mohit - "Bhai..maan li teri baaten ki mai raja hun, mujhe koi darr nahi, mai supreme hun, koi saza nahi hone waali mujhe, mera dimaag mand pad gaya hai....par jab wo ladki chillayegi, royegi na to mere haathon ki pakad apne aap dheeli pad jaayegi....aage kuch nahi karega tera bhai....ye antar hota hai mard aur jaanvar mey..."

Dost khush hokar gale lag gaya.

Dost - "Mohit Bhai dil khush kar diya...mai yahi test kar raha tha..."

So, ye hai mera conclusion.....

"Mana India mey 1-2 Australia ki population jitne dooshit mansikta waale purush hai par unke liye 4-5 Russia ki population jitne sahi purusho par gaaj kyu? Kyoki jab laws banti hai to unke ghere mey kai nirdosh bhi pis jaate hai. Ye kaisi victim mentality hai ki doosre group (is case mey gender) k har bande ko criminal bata do. Majority of men would never rape anyone. Men don't just rape people because they feel horny, it's not that basic. Most can resist the lust they have....many men can see what they are doing is wrong. Can I be swayed by my anger and turned into a murderer? Nope. People can't just be "swayed" by emotions and turned into something they weren't already.

Don't trust the secondary info sources to the level that they brainwash you...understand other aspects related to the matter and VERIFY!!!.....Every man has the ability to rape, but so what? If a man has the ability to rape, would you call him a 'potential rapist'? Every woman has the ability to kill a baby, does that mean every woman is a potential child killer? Everyone (except disabled people) has the ability to kill, does that make everyone a potential serial killer?....Every human being has the potential to be anything. Rape is not an act of lust nor is it gender specific. Rape is an act of power and violence. Women rape fellow humans every day. Yes, I mean actual sexual assault kind of rape. Men are just more associated with rape because, as a group, they tend to be more physically violent than women."
- Mohit Sharma (Trendster)

1 comment:

  1. May be or May be not..Dunno..Human Brains ki itni varieties hain kaha nahin jaa sakta actually mein same condition aur atmosphere kiske dimaag par kya asar daale...Ya koi kis level par Up bhi jaa sakta hai ya Down bhi...moderate rahe...ya koi shuru hi naa ho..ya koi mauke ka double faayda utha le..whatever

    ReplyDelete